Tuesday 14 March 2023

Zindagi ke kuch kisse

Zindagi ke kuch kisse mitane ka mann nhi karta.


Kahani aage jo bhi pehlu le, 

kuch yaadon se aage bad jaane ka mann nhi karta.


Panne hum palat lete hai, iss umeed mein ki waqt guzar jayega.


Par jo jazbaat peeche choot gaye, 

unse nazre churane ka mann nhi karta.


Aage toh hum chale aaye, 

bhool ke bhi ek baar peeche mud ke na dekha.


Par saamne jab beetein lamho ki parchayi aayi,

Usme na simat jaaye, ye bhi mann nhi karta.


Zindagi ke kuch kisse mitane ka mann nhi karta.


Kahani toh aage bad gayi.

Par yaadein? 

Unse yuhi baag jaane ka mann nhi karta

No comments:

Post a Comment